Mauzood-e-waqt ye Khaamosh
Hausalon ke daayron mei simta,
Andheron ki chilman-o-jharokha
Roshan shaamiyano ki aaghosh mein sharik
Minnaton ki tasvirein manzoor na thi;
Jahaan mein muqaddar se jushtzoo mashur sahi
Niste nabood gar koi zalzala kar bhi jaaye
Kismat ki dalilein manzoor na thi,
Ranjishon ki chaadar pe
Sunehri kalm-o-shyaahi se
Humne manzar wo tarashaa hai
Karaar-e-zakhm ho itna
Bayaan na zakheera-e-alfaaz ho paaye
Dhuaan raahaton ki chaahat ho
Raza Chaahaton ki raahat se
Kaafila badhta chala jaaye
Aur manzilon ki tapish tale
Noor-e-ibaadat ki baarish ho
Fir mauzon ki jannat mein
Gardishon ka kshitiz rava ho jaaye..!!
No comments:
Post a Comment