Ruh ko chukar
nazrei-e-gasht se mehroom
ye jahan aur asmaan
Aks mei jo mazlum
noor-e-nigaahon se beintehaan
bejubaan aur beparwaah
Harkaton se door kahin
khamoshi mei suroor sahi
Chalakte paimaano k daayre
simat jaaye halke halke
Humein aadat to na thi
koi aafat na sahi
Par zubaan mei khumaar
lamha lamha intezaar
Sawaliya jawaab
jazbaaton ka sailaab
tham jaaye halke halke
No comments:
Post a Comment